Small Hotel Kaise Start Kare
maine mere bahot sare dost ko hotel start karte dekha hai esiliye aapse share kar raha hu real experience ...agar aap ek aisa business dhoond rahe ho jisme roz ka cash flow bhi aaye aur long-term stable income bhi mile, to dhaba + small hotel ek solid option hai. is model me neeche aapka dhaba (food business) chalta hai aur upar ya side me 5–10 rooms hote hai jaha log rukte hai. matlab ek hi jagah se aap do income stream bana rahe ho.
lekin yaha sabse bada sach ye hai — ye business tabhi chalta hai jab aap taste + location + service tino ko serious lete ho.
ab ek ek cheez detail me samajhiye.
Location – Is Business Ka Dil
dekhiye, dhaba business me sabse pehla aur sabse bada decision location hota hai. agar location sahi nahi hai to chahe aap kitna bhi acha khana bana lo, customer nahi aayega.
aapko aisi jagah chahiye jaha log rukne pe majboor ho jaate hai. jaise highway pe long drive karte hue log break lete hai, truck drivers ko rest chahiye hota hai, ya city ke bahar log fresh hone ke liye rukte hai. wahi aapka target spot hai.
best locations wo hoti hai:
- highway ke side jaha traffic heavy ho
- toll naka ke paas jaha gaadi slow hoti hai
- industrial area ke aas paas jaha workers aur drivers rehte hai
- city ke entry ya exit point pe
agar aap Pune side dekhoge to Pune–Satara highway, Pune–Nashik road ya MIDC areas me aise dhaba bahut strong chalte hai.
ek simple rule yaad rakhiye:
“customer ko dhaba tak mat bulao, dhaba ko customer ke raste me lagao”
Land aur Layout – Kaise Plan Kare
dhaba + hotel ke liye aapko thodi open space chahiye hoti hai. minimum 1000–3000 sq ft me aap comfortable setup bana sakte ho.
layout aapko smart banana padega. aapka dhaba front side me hona chahiye jaha gaadi easily park ho sake. uske piche ya upar rooms hone chahiye.
aapka dhaba area aisa hona chahiye ki:
- log aate hi easily baith sake
- hawa aur light proper aaye
- garmi me bhi manageable ho
tables ka gap bhi important hota hai. log bheed me khana pasand nahi karte.
rooms ka entrance thoda separate rakho taaki jo log stay kar rahe hai unko privacy mile.
parking space ignore mat karo. truck aur car dono ke liye jagah honi chahiye. kai dhaba sirf parking ki wajah se famous hote hai.
Hotel Setup –
Hotel ka look fancy nahi hota, lekin usme ek “desi feel” hoti hai jo logon ko attract karti hai.
aap chahe to bamboo, wooden ya tin shed ka use kar sakte ho. lighting warm rakho, zyada bright white light dhaba vibe kharab karti hai.
tables strong hone chahiye kyunki heavy use hota hai. plastic chairs bhi chalti hai, lekin clean honi chahiye.
handwash area bohot important hota hai. agar wo ganda hua to customer ka mood wahi kharab ho jaata hai.
ek chhota counter rakho jaha billing aur order manage ho. yahi aapka control point hota hai.
Rooms Setup –
ab baat karte hai rooms ki. yaha log luxury expect nahi karte, lekin cleanliness aur comfort expect karte hai.
har room me basic cheeze honi chahiye:
- ek comfortable bed jisme mattress acha ho
- clean bedsheet aur pillow cover
- fan ya cooler (AC optional hai starting me)
- proper lighting
- charging points
- attached bathroom (ye bahut important hai)
bathroom me safai sabse critical hai. agar bathroom ganda hai to customer dobara nahi aayega.
aap chahe to 2 category bana sakte ho:
- normal room
- AC room (thoda premium rate pe)
Food Menu –
ab sabse important part — food.
dhaba ka naam uske khane se banta hai. log taste ke liye wapas aate hai.
aapko menu bada nahi rakhna, lekin jo bhi rakho wo perfect hona chahiye.
Veg Section
veg me aapko basic strong items rakhne hai jo har aadmi khata hai:
dal tadka aur dal fry har dhaba ki jaan hoti hai. isme taste consistent hona chahiye.
paneer butter masala aur kadai paneer thoda premium item hai, lekin margin acha deta hai.
jeera aloo aur mix veg simple hai lekin har order me add ho jaata hai.
ye sab items aapko ek strong base dete hai.
Non-Veg Section
agar aap non-veg rakhte ho to business fast grow karta hai.
chicken curry aur chicken masala sabse zyada bikte hai.
butter chicken thoda premium hai lekin family customers ke liye best hai.
anda bhurji aur egg curry low cost me high profit dete hai.
night time me truck drivers aur travellers non-veg zyada order karte hai.
Roti & Rice
roti aur rice aapka volume badhate hai.
tandoori roti, butter roti aur naan must hai.
rice me jeera rice aur plain rice basic hai.
Special Items
biryani aur tandoori items aapko famous bana sakte hai.
agar aapki biryani hit ho gayi na, to log specially aapke dhaba pe aayenge.
Snacks & Chai
chai ko kabhi underestimate mat karo. dhaba ki asli income chai se bhi aati hai.
subah aur raat me chai, omelette, pakoda aur bread omelette heavy sale dete hai.
Kitchen Setup –
kitchen me aapko commercial setup chahiye hota hai.
ek strong gas stove, tandoor, bade utensils, fridge aur storage system zaroori hai.
sab kuch organized hona chahiye taaki kaam fast ho.
ventilation bhi important hai, warna kitchen me kaam karna mushkil ho jaata hai.
Staff – Kaun Kaun Chahiye
dhaba + hotel me staff aapka backbone hota hai.
kitchen me ek experienced cook hona chahiye jiska taste stable ho.
ek helper uski help karega.
service ke liye 2 waiter enough hote hai starting me.
ek cleaning staff hona zaroori hai jo tables aur rooms clean rakhe.
agar aap khud counter sambhalte ho to cost control me rahega.
Daily Routine
subah ka time preparation ka hota hai. chai aur light breakfast chalta hai.
afternoon me lunch rush hota hai jaha aapko fast service deni padti hai.
evening me thoda slow hota hai, lekin chai aur snacks chalte hai.
raat ka time sabse important hota hai. yahi pe heavy earning hoti hai.
Income –
maan lo aapke paas daily 80–120 customers aate hai aur average bill ₹120–₹150 hai.
to daily ₹10k–₹15k sale ho sakti hai.
monthly ₹3–4 lakh sale hota hai. expenses hata ke ₹80k–₹1.5 lakh profit aa sakta hai.
rooms ka income alag hota hai jo aapka bonus hai.
Sabse Important ye hotel line me galti ki to income kam ho sakta hai
ek din acha khana aur dusre din bekaar — ye business me nahi chalega.
aapko har din same taste maintain karna padega.
ye hi aapka brand banata hai.

